Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa
Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa
Tab Kahin Ja K Thora Sukoon Pati Hai Maa
Fikar Me Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maa
Naujawan Hote Hue Bhi Burhi Nazar Ati Hai Maa
Rooh K Jazbon Ki Ye Gehraiyan To Dekhiye
Chaut Hum Ko Lagti Hai Aur Chillati Hai Maa
Chahe Hum Khushiyon Me Maa Ko Apni Bhool Jaen Lekin
Jab Museebat Sir Pe Aye To Yaad Ati Hai Maa
Shukriya Ho Hi Nahi Sakta Kabhi Us Ka Adaa
Marte Marte Bhi Dua Jeeny Ki De Jati Hai Maa
Pyar Kehte Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Ye To Un Bachon Se Pucho Jin Ki Mar Jati Hai Maa...
0 comments:
Post a Comment